Sunday, December 26, 2010

[discussion_vu] Ye Dil Lagi ....!

Ye Dil Lagi ....!!
 

Kaise pata lagaye ke kuch rishte dil ki lagi hai ya dillagi.
Dillagi mein raat ko need ati hai, dil ki lagi raat bhar tadpati hai,

Dillagi mein aap ko sab kuch yaad rahta hai, per dil ki lagi ap ko sub kuch bula deti hai,
Dillagi mein aap uska acha bura sochte ho, dil ki lagi mein ap uske alawa kuch nahi sochte,

Dillagi pal bhar ka rishta bhi ho sakta hai, dil ki lagi Zindagi bhar saath rahti hai,
Dillagi mein aap usse bhulne ki koshish kar sakte ho, dil ki lagi mein ap kabhi usse bhul nahi pate,

Dillagi mein aap usse ke assu pochte ho, dil ki lagi mein app us ke saath rote ho,
Dillagi mein madhosi se rahti hai, per dil ki lagi mein to hosh hi nahi rehta,

Dillagi agar kamyab ho to acchi lagti hai, per dil ki lagi mein nakamyabi bhi koobsurat hoti hai,
Dillagi shyaad dil ki lagi ki or pehla kadam bhi hoti hai, per dil ki lagi akhiri imthan hoti hai

Per dillagi kab dil ki lagi mein badal jati hai ye koyi nahi jantaa

--
You received this message because you are subscribed to the Google Groups "Virtual University of Pakistan" group.
To post to this group, send email to discussion_vu@googlegroups.com.
To unsubscribe from this group, send email to discussion_vu+unsubscribe@googlegroups.com.
For more options, visit this group at http://groups.google.com/group/discussion_vu?hl=en.

No comments:

Post a Comment

PAID CONTENT