Dil-e-veeran hai, teri yaad hai, tanhai hai
Zindagi dard ki baho mai simat aayi hai
Khuda ke baad ek tera tha sahara mujhko,
Dobi kashti leke doba hai kinara mujhko,
Omr bhar doobta jaonga..mai gham ke.. is samandar mai,
Samandar se bhi ziyada mere gham ki howi gehrai hai
Sookh ker rehgai mere chaman ki daaliyan saari,
Rooth gaye rang morjhagai khilti howi kaliya sari,
Saray parindo ne bhi badal diya ashiyan apna,
Meri mohabbat ke chaman mai kuch aisi khiza aayi hai
Teri bas ek jhalak ke liye tarasta ho mai,
Har gali teri talash mai bhatakta ho mai,
Teri yaadon ne apna qaidi banaliya hai mujhe,
Deakh phir sham teri yaadon ki zanjeer le ayi hai
Zindagi bhar mai tujhko bhula nahi sakta,
Tera pyar mere dil se ja nahi sakta,
Meri mohabbat ko tune kabhi samjha hi nahi,
Meri mohabbat mai na kami ayi thi aur na aayi hai
Basgai hai tu meri ankhon mai ansowo ki tarha,
Zeher bhi lagta hai meetha teri baaton ki tarha,
Uthrahay hai mere armano ke janazay,
Tere bin har khushi kafan mai lipti howi nazar ayi hai
Mujhko tere honto ki tabassom ki qasam,
Moat bhi mujhko aker bhi nahi aayi hai
Dil-e-veeran hai, teri yaad hai, tanhai hai
Zindagi dard ki baho mai simat aayi hai
Hadood-e –Zabt-e wafa se guzarnay wala tha.
Main apnay app ko nilam karnay wala tha.
Safar k shok nay majboor kar diay warna.
Main teray shehar main aik din thernay wala tha.
Khud apnay saye se hi chok utha hai ab tu.
Wo shaks jo kisi se na darnay wala tha.
Howa hai katal mera khusiyoo k hathoo se,
Main itni jaldi tu hargiz na marnay wala tha.
Lahu na or raha jisam main wrna,
Main is ghzal main aur rang barhnay wala tha.
--
For study materials, past papers and assignments, Join us on www.VuScool.com |
<<<<<<< sAd pAncHi >>>>>>>
--
You received this message because you are subscribed to the Google Groups "Virtual University of Pakistan" group.
To post to this group, send email to discussion_vu@googlegroups.com.
To unsubscribe from this group, send email to discussion_vu+unsubscribe@googlegroups.com.
For more options, visit this group at http://groups.google.com/group/discussion_vu?hl=en.