Aa Gayi Thi Ik Din Tanhaye Bhi Jazbaat Mein
Aank Sai Bhi Chand Boondein Gir Pari Barsaat Mein
--------------------------------------------------
Geelay Kagaz Ki Tarah Hai Teri Zindagi
Apnee Koi Parta Bhi Nahi Koi Jalata Bhi Nahi
--------------------------------------------------
Shiddat-e-Dard se sharminda nahi meri wafa "Mohsin" ...
Jin se dosti gehri ho, Wo Zakham bi Gehra deytey hai .....
--------------------------------------------------
Sajdon Mein Guzaar Doon Apni Saari Zindagi
Ek Baar Wo Keh Day Mujhe Duaon Se Mang Lo
--------------------------------------------------
aks us jheel mein tha
Ye jo shafaaf sa ik aks us jheel mein tha,
Koi chehra tha magar chaand ki tamseel mein tha,
Yaad karta hun kahan bhool k aya hun usay,
Aisa hi aks meri soch ki zambeel mein tha,
Baat kia thi ye mujhe achi tarah yaad nahi,
Haan aap ka zikr b tha aur bari tafseel mein tha,
Koi pegham tha ankhon mein so ankhon mein raha,
Masla asal to paigham ki tarseel mein tha,
Is naye nuskhe mein tehreef hui hai warna,
Zikr mera bhi kahin pyar ki injeel mein tha
--------------------------------------------------
--
Yon Ghalat B Nai Hota chehron Ka Ta'asur Lakin.Log Waise Hote B Nai Jiasay Nazar Ayte Hain
--
You received this message because you are subscribed to the Google Groups "Virtual University of Pakistan" group.
To post to this group, send email to discussion_vu@googlegroups.com.
To unsubscribe from this group, send email to discussion_vu+unsubscribe@googlegroups.com.
For more options, visit this group at http://groups.google.com/group/discussion_vu?hl=en.
No comments:
Post a Comment