Friday, December 30, 2011

[discussion_vu] Hai Tamanna Ke Saal-e-Nau Tujh Ko

Hai Tamanna Ke Saal-e-Nau Tujh Ko
Har Musarrat Se Humkinaar Kare


Khil Uthen Phool Tumhare Aangan Mai
 Tu Agar Khuahish-e-Bahar Kare


Tum Se Har Ranj Doorr Ho Jaye
Har Khushi Tum Par Nisaar Ho Jaye


Tumhare Aangan Mai Qaafley Utrein
 Mohabbaton Ke Sitaaron Ke


Ho Ke Beqarar Uth Jaeen
Qadam Tere Taraf Baharon Ke


Har Naii Subah Tumhare Daman Mai
 Mohabbaton Ke Chiraagh Jal Jaeen


Har Haseen Shaam Apni Khoobsurti
 Tumhare Naam Kar Jaye


Muskurata Sadaa Jeewan Rahe
 Tumhare Qadmon Mai Kayinaat Rahe


Shadmaani Sada Tumhara Muqaddar Ho
Aane Wale Saal Tumhari Khushi


Jaane Wale Saal Se Barh Kar Ho.


--
Sikandar Khush Nahin Loot Kar Daulat Zamaane Ki

Qalandar Dono Haathon Se Luta Kar Raqs Karta Hai  

سیدنا ابوہریرہ رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: "اس (پاک ذات) کی قسم! جس کے ہاتھ میں میری جان ہے کہ تم میں سے کوئی مومن نہیں ہو سکتا جب تک کہ میں اس کے نزدیک اس کے باپ اور اس کی اولاد سے زیادہ محبوب نہ ہو جاؤں۔

Allah Pak Farmatay Hain....

Aye ibne Adam

Ik Teri Chahat Hai Or Ik Meri Chahat Hai

Hoga To Wohi Jo Meri Chahat Hai

Haan Ager Tune Superd (hawale) Kardia Khood Ko

Uske Jo Meri Chahat hai

To Main Tujhe Woh Bhi Donga Jo Teri Chahat Hai...

 

Or Ager Tune Mukhalfat Ki Uski Jo Meri Chahat Hai

Tu Main Thaka Dunga Tujhe Us Main Jo Teri Chahat Hai

Phir Hoga Wohi Jo Meri Chahat Hai.....




--
You received this message because you are subscribed to the Google Groups "Virtual University of Pakistan" group.
To post to this group, send email to discussion_vu@googlegroups.com.
To unsubscribe from this group, send email to discussion_vu+unsubscribe@googlegroups.com.
For more options, visit this group at http://groups.google.com/group/discussion_vu?hl=en.

No comments:

Post a Comment

PAID CONTENT