In The Name Of ALLAH Most Gracious And Most Mercifull. The Prophet (PBUH) Said
" Pass On Knowledge From Me Even if it is Only One Verse "
Bismillah Walhamdulillah Was Salaatu Was Salaam 'Ala Rasulillah
Assalaam Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakatuhu
AULAAD KE HUQOOQ
Aulaad Me Beta Aur Beti Dono Shamil Hain,
Aulaad Ke Huqooq Bohut Zyada Hain,
Jin Me Se Ek Bohut Ahem Haq Unki Tarbiyat Hai,
Tarbiyat Ka Matlab Ye Hai ke Aulaad Ko Deen Wo Aqlaaq
Se Mamoor Kar Diya Jaye Taaki Unke Ander Deen
Wo Aqlaaq Ka Wafir Hissa Moujood Rahe…..
Garz ke Aulaad Waldain Ke Zimme Amanat Hai
Aur Waldain Se Qiyamat Ke Din unke Baare Me Pooch Hogi...
Aulaad Ki Deeni Wa Aqlaqi Tarbiyat Karke Hi Waldain
Apni Zimmedari Se Subukdosh Hosakte Hain...
Aur Aulaad Ki Islah Karsakte Hain,
Aulaad Jab Saleh Hogi Toh Duniya Wo Aaqirat Me
Waldain Ki Aankhoun Ki Thandak Banegi…
Jab Banda Marr Jata Hai Toh Usska Amal
Bhi Munqatah Hojata Hai...
Magar 3 Qism Ke Amal Ka Sawab Jaari Rehta Hai…
1 - Sadqa-E-jariya…
2 - Aisa Ilm Jis Se Usske Baad Bhi
Faiyada Uthaya Jaaye….
3 - Saleh Aulaad Jo Usskeliye
Dua Karti Rahe….
Yeh Aulaad Ki Behtareen Taleem Wo Tarbiyat Hi
Ka Natija Hai Ki Waldain Ke Marne Ke Baad Bhi
Woh Unkeliye Nafaa Baqsh Hoti Hai……
=========================
Dua Ki Guzarish
Mrs Rubina Yasmeen
=========================
Assalaam Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakatuhu
If U Like My Post Join Me
yas.rubina@facebook.com
No comments:
Post a Comment