In The Name Of ALLAH Most Gracious And Most Mercifull.
The Prophet (PBUH) Said
" Pass On Knowledge From Me Even if it is Only One Verse "
Bismillah Walhamdulillah Was Salaatu Was Salaam 'Ala Rasulillah
Assalaam Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakatuhu
" Momin Ka Kirdaar "
Quraan Hakeem Me Allah Subhana Talah ka Irshaad Hai..
Badi Hi Buzrug Wa Bartar Hai Woh Zatt Ke
Jiske Hathoun Me Kayanat Ki Saltanat Hai
Aur Jo Har Cheez Pe Khudrat Rakhti Hai
Ek Aur Jagah Irshaad Farmaya Gaya Hai
Hum Ache Aur Bure Halaat Se Darasal Tumhe Aazmate Hain…
Yeh Dono Aayatein Ye Batati Hain Ke
Ye Duniya Momin Keliye Imtehan Gahh Hai…
Insaan Keliye Imtehani Nukta-E-Nazar Se Achai Aur Burai..
Khushaali Aur Fikar Wo Gham ,Ache Din Aur Bura Waqt
Sab Ki Ahmiyat Eksaa Hai..
Ek Momin Ka Tarz-E-Fikr Yahi Hota Hai
Aur Yahi Andaaz-E-Fikr Iski Buniyadi Asaas
Aur Imtiyaazi Kirdaar Ka Mazher Hota Hai..
Iske Barqilaaf Wo Shaqs Jo Naa Toh Allah
Ke Hakeem Hone Par Yaqeen Rakhta Hai,
Aur Naa isse Usski Rafath Wo Rehmath Par Imaan Hota Hai,
Iski Halat Quraan Ki Alfaz Me Yeh Hoti Hai……
Insaan Ka Haal Toh Yeh Hai Ke Jab
Iska Rabb Isse Apne Karm AurApni
Niyamatoun Se Sarfaraaz Karta Hai Toh Who Itrata
Hua Kehta Phirta Hai Ke Mere Rabb Ne Mujhe Nawaza Hai…
Aur Jab Allah Talah Isse Tangi Aur Tangdasti Me
Mubtilah Karke Iska Imtehan Leta Hai
Toh Shikayat Karne Lagta Hai….
Aur Kehta Phirta Hai…
Allah Ne Mujhe Zaleel Kiya…..
Yeh Rawaiya Aur Andaaz-E-Fikr Darasal
Qass Mufaad Parsatana Zahan Ki Akkasi Hai
Ye Zahan Inn Logoun Ka Hota Hai
Jinka Muntaha-E-Nazar Mahez Duniyawi Zindagi
Ka Saaz Wo Samaan Hota Hai Aur Jinka
Aqeeda Quraan ke Alfaaz Me Yeh Hota Hai
Iss Duniyawi Zindagi Ke Alawa Aur Hai Bhi Kya ????
Raha Marna Jeena Toh Iss Se Chutkara Nahi
Magar Mout Toh Bass Zamane Ke Hathoun Hoti Hai…..
Muqtasar Alfaaz Me..
Momin Ka Kirdar Iss Tarah Bayan Kiya Jasakta Hai
Ke Woh Apne Aap Ko Allah Buzrug Wa Bartar
Ke Saamne Jawabdeh Samajhta Hai
Aur Iska Poora Kirdaar Iss Mahoor Par Gardish Karta Hai
Ke Isske Har Har Amal Ka Record Rakha Jaa Raha Hai
Jis Keliye Ussko Lazmann Jaza Wo Sazaa
Ke Marahil Se Guzarna Hai…
Aqeeda-E-Aaqirat Ke Bina Par Momin Ka Har Kaam
Dayanat Aur Amanat Ka Hamill Hota Hai..
Aur Woh Aise Mouqe Par Bhi Jab Koi Isko Dekhne Wala,
Rokne Wala, Tokne Wala, Naa Ho Koi Kaam Asool
Aur Aqlaaq Ke Qilaf Anjaam Nahi Deta,
Woh Dostoun ka Dost,
Ghar Waloun ka Humdard,
Rafeeqoun Par Shafeeq,
Padosiyoun Par Meharbaan,
Gareeboun Ka Haami,
Mohsinoun Ka Ehsaanmand,
Aur Buzrugoun Ka Adab Karne Wala Hota Hai…
===================
Talib E Dua
Mrs Rubina Yasmeen
======================
Assalaam Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakatuhu
If U Like My Post Join Me
yas.rubina@facebook.com
No comments:
Post a Comment