Hazrat Anas bin Maalik (R.A) se riwayat hai ke Rasul Kareem (Sallala Ho Alaihi Wasalam) ne farmaya,
" Ziada sawab barri azmaaish ka hota hai. Allah Taalah jab kisi qaum se mohabbat karta hai to un par azmaaish daalta hai. Jo raazi rahe, use raza milegi aur jo naraz hua use narazi milegi."
Fawaid-o-masaail
1- Azmaaish men bande ka faaida hota hai. Is liye Allah ke faisle par raazi rehte hue shari'at ke daaire men reh kar jidd-o-jehed karna zaroori hai. Agar kisi museebat par banda narazi ka izhaar karega to museebat to apne muqarrara waqt par hi khatam hogi lekin banda sawab se mehroom ho kar Allah ko naraz kar lega.
2- Museebat bhi Allah ki ek naimat hai, ba-shart-e-ke ehkaam ki nafarmaani na ki jaye.
Ibn-e-Maja
Good noon to all
--
Doob Jaa Ishq-E-Khuda Mein Sab Kuch Bhool Kar
Kis Ne Paayi Hai Yeh Duniya Ki Mohabbat Jo Tu Paaye Ga..!!
<<<<<<< sAd pAncHi >>>>>>>
--
You received this message because you are subscribed to the Google Groups "Virtual University of Pakistan" group.
To post to this group, send email to discussion_vu@googlegroups.com.
To unsubscribe from this group, send email to discussion_vu+unsubscribe@googlegroups.com.
For more options, visit this group at http://groups.google.com/group/discussion_vu?hl=en.
No comments:
Post a Comment