Monday, December 23, 2013

[Pindi-Islamabad:94542] ............ Waldein Se Husn Sulook ..........

In The Name Of ALLAH Most Gracious And Most Mercifull. 
The Prophet (PBUH) Said
" Pass On Knowledge From Me Even if it is Only One Verse "
Bismillah Walhamdulillah Was Salaatu Was Salaam 'Ala Rasulillah
Assalaam Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakatuhu

 
Waldein Se Husn Sulook
Respected My Sisters & Brothers
 
Waldein Ki Ita'at Aur Farmabardari Hum Sab
Par Eksaa Farz Hai
Is Duniya Me Sabse Azeem Rishta Waldein Ka Hai
Waldein Humari Taleem Wo Tarbiyat Ke Zamin Hote Hain
Har Waldein Ki Ye Khawashish Hoti Hai Ki Unki Aulaad
Iss Duniya Me Alaa Se Alaa Muqaam Paale
Humare Behtar Mustaqbil Keliye
Waldein Apna Chain Araam Sab Kuch Qurban Kar Dete Hain
Hum Agar Umr Bhar Bhi Ye Koshish Karte Rahein
Ke Unke Ehsaan Ka Badla Utaar Sakein
Toh Hum Chah Kar Bhi Nahi Kar Sakte
Isiliye Humara Farz Banta Hai Ki Hum Apne Waldein
Ki Har Tarha Se Qidmat Karein
Unki ita'at Aur Farmabardari Me Kisi Qism Ki Koi
Kotahi Naa Karein
Jis Se Unke Dil Ko Taklif Pohenche
Unhe Hamesha Khush Rakhne Ki Koshish Karein
Aur Hamesha Unki Har Tarha Ki Qidmat Keliye
Tayyar Rahein Quran Me Jagah Jagah
Waldein Se Husn Salook Ki Takeed Ki Gayi Hai
Quran Me Ek Jagah irshad-E-Bari Talah Hai
Agar Dono Me Se Koi Ek Ya Dono Tumhari Zindagi Me
Hi Budhe Hojayein Toh Unhe Uff Naa Kaho
Unhe Jhidko Nahi, Unke Sath Narmi Se Baat Karo
Aur Unke Liye Yeh Dua Karo
Aaye Humare Parwardigar Inn Par Raham Farma
Jis Tarha Inho Ne Mujhe Bachpan Me Paala Hai
Waldein Ka Ehteraam Sirf Ye Nahi
Ke Khud Unka Adab Kiya Jaye
Balke Aisa Rawaiyah iqtiyar Kiya Jaye Ke Dusre
Log Bhi Unke Waldein Ka Ehteram Karein
 
Aaye Allah Tabarak Talah Humein itni Himmat
Aur Toufeq Ataa Farma Ki Hum Apne
Aulaad Hone Ka Farz Achi Tarha Nibha Sakein
Aur Apne Waldein Ki Qidmat Kar Sakein
Ameeen Ya Rabbul Alameeen
=========================================
Dua Ki Guzarish
Mrs Rubina Yasmeen
=========================================
 
 

No comments:

Post a Comment

PAID CONTENT